hawa e dard chali aur us ki yaad aai
lo phir se shaam dhali aur us ki yad aai
kissi ne chupkay se aa k hamain yun thaam lia
nazar' nazar se chali aur us ki yaad aai
zara se hont hilay thay k ashq beh niklay
phir aik chup si lagi aur us ki yaad aai
kissi k paoon ki aahat se dil dharaknay laga
kissi ki zulf khulli aur us ki yaad aai
kissi ki baaton ki baarish mai ham bhi bheeg gae
kissi ne baat na ki aur us ki yaad aai
phir us k zikar pe baadal umadd umadd aaye
ghatta yun zor se barsi aur us ki yaad
